wahshat mein bhi minnat-kash-e-sahra nahin hote
kuchh log bikhar kar bhi tamasha nahin hote
jaan dete hain jaan dene ka sauda nahin karte
sharminda-e-ejaz-e-masiha nahin hote
hum KHak the par jab use dekha to bahut roe
sunte the ki sahraon mein dariya nahin hote
ek tar-e-gareban ka rahe dhyan ki sab log
mahfil mein to hote hain shanasa nahin hote
Ghazal
Wahshat mein bhi minnat-kash-e-sahra nahin hote
Zehra Nigaah