اردو हिंदी
Wahshat ka kahin asar nahin hai | Shaahi Shayari
wahshat ka kahin asar nahin hai

Ghazal

Wahshat ka kahin asar nahin hai

Shohrat Bukhari

;

wahshat ka kahin asar nahin hai
kuchh bhi hai ye mera ghar nahin hai

ta-hadd-e-falak khinchi hai diwar
diwar mein koi dar nahin hai

aaghaz-e-safar mein qafila tha
ab ek bhi ham-safar nahin hai

kufa ho damishq ho madina
sadat ka koi ghar nahin hai

wo, wo to nahin jo samne tha
mera hai, mera magar nahin hai

is ahd ki shanaKHt Thahri
sab kuchh hai magar nazar nahin hai

jine ki talab nahin hai 'shohrat'
jine se magar mafar nahin hai