'wahshat'-e-mubtala KHuda ke liye
jaan deta hai kyun wafa ke liye
aashna sab hue hain begane
ek begana-ashna ke liye
hum ne aalam se bewafai ki
ek mashuq-e-bewafa ke liye
tha use zauq-e-ashiq-azari
KHub main ne maze jafa ke liye
ghaalib aai faramushi us ki
wada taDpa kiya wafa ke liye
ye bhi teri gada-nawazi thi
main ne bose jo naqsh-e-pa ke liye
zauq-e-nazzara ne kiya hai KHak
surma hun chashm-e-surma-sa ke liye
justuju nang-e-arzu nikli
dard ruswa hua dawa ke liye
baDh chali hai bahut haya teri
mujh ko ruswa na kar KHuda ke liye
hai KHamoshi mujhe zaban 'wahshat'
fikr kya arz-e-muddaa ke liye
Ghazal
Wahshat-e-mubtala KHuda ke liye
Wahshat Raza Ali Kalkatvi