اردو हिंदी
Wahshat-e-jaan ko payam-e-nigah-e-naz to do | Shaahi Shayari
wahshat-e-jaan ko payam-e-nigah-e-naz to do

Ghazal

Wahshat-e-jaan ko payam-e-nigah-e-naz to do

Hasan Nayeem

;

wahshat-e-jaan ko payam-e-nigah-e-naz to do
is fasane ko zara garmi-e-aghaz to do

mere qadmon ke nishan rah se kuchh dur sahi
tum se main dur nahin hun mujhe aawaz to do

dil mein tufan nahin ho to kare kya naghma
main sunata hun yahi rag mujhe saz to do

koi buniyaad nahin qaid-e-talluq ki abhi
jazba-e-gham ko zara fikr ka andaz to do

us ne sine se lagaya jo kaha main ne 'hasan'
dil mein rakhne ke liye apna koi raaz to do