wahm hai hast bhi nist bhi wahm hai
din-o-duniya ki har ek gali wahm hai
kaisi aawaz hai kan phaT jaenge
hai bhi ya ye mera daimi wahm hai
ye tamasha-e-ilm-o-hunar dosto
kuchh nahin hai faqat kaghzi wahm hai
khinch li hai kaman main ne izhaar ki
ab zara phir kaho zindagi wahm hai
itna hassas hun jitna koi nahin
man lo na 'raza' aaKHiri wahm hai

Ghazal
Wahm hai hast bhi nist bhi wahm hai
Naeem Raza Bhatti