wahin hain dil ke qarain tamam kahte hain
wo ek KHalish ki jise tera nam kahte hain
tum aa rahe ho ki bajti hain meri zanjiren
na jaane kya mere diwar-o-baam kahte hain
yahi kanar-e-falak ka siyah-tarin gosha
yahi hai matla-e-mah-e-tamam kahte hain
piyo ki muft laga di hai KHun-e-dil ki kashid
giran hai ab ke mai-e-lala-fam kahte hain
faqih-e-shahr se mai ka jawaz kya puchhen
ki chandni ko bhi hazrat haram kahte hain
nawa-e-murgh ko kahte hain ab ziyan-e-chaman
khile na phul ise intizam kahte hain
kaho to hum bhi chalen 'faiz' ab nahin sar-e-dar
wo farq-e-martaba-e-KHas-o-am kahte hain
Ghazal
Wahin hain dil ke qarain tamam kahte hain
Faiz Ahmad Faiz