wahi sahil wahi manjdhaar mujh ko
banaya us ne khewan-haar mujh ko
zaban ki dhaar se dekha mila kar
lagi kuchh tez kam talwar mujh ko
biTha rakkha mujhe sae mein jis ne
girani thi wahi diwar mujh ko
jinhen hai naz apne faslon par
pakaDne den zara raftar mujh ko
kabhi hoti na phir laDne ki himmat
mili ab tak na aisi haar mujh ko
kisi ne bhej kar kaghaz ki kashti
bulaya hai samundar par mujh ko
kabhi Dubi na teri naw 'rahi'
sikhaya tairna be-kar mujh ko
Ghazal
Wahi sahil wahi manjdhaar mujhko
Ghulam Murtaza Rahi