wahi rang-e-ruKH pe malal tha ye pata na tha
mera gham bhi shamil-e-haal tha ye pata na tha
wahi sham aaKHiri sham thi ye KHabar na thi
wahi waqt waqt-e-zawal tha ye pata na tha
mujhe kar gaya jo tahi tahi bhare shahr mein
wo mera hi dast-e-sawal tha ye pata na tha
mujhe but bana ke chale gae ki na ro sakun
unhen mera itna KHayal tha ye pata na tha
wo hawa-e-marg thi jis se dil ka diya bujha
mere dil ka bujhna kamal tha ye pata na tha
main 'mujibi' DhunDun kahan use wo kahan mile
wo to aap apni misal tha ye pata na tha
Ghazal
Wahi rang-e-ruKH pe malal tha ye pata na tha
Siddique Mujibi

