wahi jo rah ka patthar tha be-tarash bhi tha
wo KHasta-jaan hi kabhi aaina-qimash bhi tha
lahu ke phul rag-e-jaan mein jis se khilte the
wahi to shisha-e-dil tha ki pash pash bhi tha
bikhar gai hain jahan TuT kar ye chaTTanen
yahin to phul koi sahib-e-farash bhi tha
uThae phirta tha jis ko salib ki surat
wahi wajud to KHud us ki zinda lash bhi tha
palak jhapakne mein kuchh KHwab TuT jate hain
jo but-shikan hai wahi lamha but-tarash bhi tha
wo harf-e-naz ki resham ka tar kahiye jise
wahi to dil ke liye ek hasin KHarash bhi tha
ada-e-husn jise kahiye be-ruKHi 'tanwir'
usi ki tarz-e-taghaful ka raaz fash bhi tha
Ghazal
Wahi jo rah ka patthar tha be-tarash bhi tha
Tanveer Ahmad Alvi