wahi hua ki KHud bhi jis ka KHauf tha mujhe
charagh ko jala ke bas dhuan mila mujhe
kabhi miTa saka na koi dusra mujhe
shikast de gai magar meri ana mujhe
jawab is sawal ka bhi de zara mujhe
uDa ke lai hai yahan pe kyun hawa mujhe
hari-bhari si shaKH par khila hua gulab
na jaane ek KHar kyun chubha gaya mujhe
us ajnabi se wasta zarur tha koi
wo jab kabhi mila to bas mera laga mujhe
abhi na mujh ko Tokiye abhi to zindagi
suna rahi hai git roz ek naya mujhe
ye muddaton ke baad jo kahi ghazal 'hilal'
wo kaun hai jo aaj yaad aa gaya mujhe
Ghazal
Wahi hua ki KHud bhi jis ka KHauf tha mujhe
Hilal Fareed