wahi hai nafs-e-mazmun sirf tadbiren badalti hain
huzur-e-dost kya kya apni taqriren badalti hain
ye nagri husn walon ki ajab nagri hai ai hamdam
ki is nagri mein aahon ki bhi tasiren badalti hain
na itra ai dil-e-nadan kisi ke ahd-o-paiman par
ki qaul o fel kya logon ki tahriren badalti hain
KHudai ka agar karte hain dawa but nahin beja
nigah-e-lutf se dekhen to taqdiren badalti hain
koi saffak jab didon mein dide Dal deta hai
to dil se dil nahin ulfat ki jagiren badalti hain
kisi kafir ke yaad aate hain andaz-o-ada jis dam
nazar ke samne kitni hi taswiren badalti hain
kisi par barq girti hai koi chaDhta hai suli par
ba-qadar-e-zauq-e-mujrim 'KHar' taziren badalti hain
Ghazal
Wahi hai nafs-e-mazmun sirf tadbiren badalti hain
Khar Dehlavi