wahi gesuon ki uDan hai wahi aarizon ka nikhaar hai
ye kisi ki shan-e-warud hai ki meri nazar ka waqar hai
teri KHud-pasand nawazishen mera ji lubha ke guzar gain
magar uf ye dida-e-mutmain jo gada-e-rah-guzar hai
abhi konpalon mein wo ras kahan jo gulon ka rup badal sake
abhi gul-farosh ke hath se hamein ehtiyaj-e-bahaar hai
meri sadgi ke KHulus ne tujhe baKHsh di wo barahnagi
jo nafas nafas ki hai tishnagi jo nazar nazar ki pukar hai
yahi dil-fareb tajalliyan mujhe do-jahan se aziz hun
magar ai jamal-e-sahar-numa mera ghar jo tira-o-tar hai
gham-e-zat se meri zindagi gham-e-kaenat mein Dhal gai
kisi bazm-e-naz mein kho ke bhi mujhe kaenat se pyar hai
Ghazal
Wahi gesuon ki uDan hai wahi aarizon ka nikhaar hai
Qateel Shifai