اردو हिंदी
Wahi din hai KHauf-o-hiras ka wahi haal abhi bhi hai pyas ka | Shaahi Shayari
wahi din hai KHauf-o-hiras ka wahi haal abhi bhi hai pyas ka

Ghazal

Wahi din hai KHauf-o-hiras ka wahi haal abhi bhi hai pyas ka

Javed Jameel

;

wahi din hai KHauf-o-hiras ka wahi haal abhi bhi hai pyas ka
wahi sham bistar-e-marg si wahi silsila shab-e-yas ka

wahi aasman hai wahi faza wahi nashsha sham pe hai bapa
wahi dur shahr se hai jagah wahi sabz farsh hai ghas ka

na rahe bashir-o-nazir hum na rahe fahim-o-basir hum
na dikhai deta hai dur ka na nazar hi aata hai pas ka

tujhe chahiye jo koi KHabar meri kawishon mein talash kar
mera e'tibar hai aql par main asir kab hun qayas ka

jo ghina ke sut se ho bana jo raza ki sui se ho sila
jo ranga ho shukr ke rang se mujhe shauq aise libas ka