اردو हिंदी
Wahi be-sabab se nishan har taraf | Shaahi Shayari
wahi be-sabab se nishan har taraf

Ghazal

Wahi be-sabab se nishan har taraf

Sultan Akhtar

;

wahi be-sabab se nishan har taraf
wahi naqsh-e-sad-raegan har taraf

wahi be-irada safar samne
wahi manzilon ka guman har taraf

wahi aag raushan hui KHun mein
wahi KHwahishon ka dhuan har taraf

wahi sab ke sab Dher hote hue
wahi tez aandhi rawan har taraf

wahi be-ghari har taraf KHema-zan
wahi Dher sare makan har taraf

wahi waqt ki dhup Dhalti hui
wahi roz o shab ka ziyan har taraf

wahi shahr-dar-shahr masrufiyat
wahi fikr-e-kar-e-jahan har taraf

wahi jalti-bujhti hui zindagi
wahi koshish-e-raegan har taraf

wahi be-zarar si zamin chaar-su
wahi sang-dil aasman har taraf