اردو हिंदी
Wahi azab wahi aasra bhi jine ka | Shaahi Shayari
wahi azab wahi aasra bhi jine ka

Ghazal

Wahi azab wahi aasra bhi jine ka

Mayank Awasthi

;

wahi azab wahi aasra bhi jine ka
wo mera dil hi nahin zaKHm bhi hai sine ka

main be-libas hi shishe ke ghar mein rahta hun
mujhe bhi shauq hai apni tarah se jine ka

wo dekh chand ki pur-nur kahkashaon mein
tamam rang hai KHurshid ke pasine ka

main pur-KHulus hun phagun ki dopahar ki tarah
tera mizaj lage pus ke mahine ka

samundaron ke safar mein sambhaal kar rakhna
kisi kuen se jo pani mila hai pine ka

'mayank' aankh mein sailab uTh na pae kabhi
ki ek ashk musafir hai is safine ka