wahan pahunch ke har ek naqsh-e-gham paraya tha
wo rasta ki jahan hausla bhi haara tha
bahut aziz the us ko safar ke hangame
wo sab ke sath chala tha magar akela tha
wo zaKHm zaKHm tha tira-shabi ke daman mein
labon pe phul nazar mein kiran bhi rakhta tha
ajib shaKHs tha us ko samajhna mushkil hai
kinar-e-ab khaDa tha magar wo pyasa tha
use KHabar thi ki aashob-e-agahi kya hai
wo dard-o-gham jise apni zaban mein kahta tha
Ghazal
Wahan pahunch ke har ek naqsh-e-gham paraya tha
Khaleel Tanveer