wahan karta rahunga ab yahan karta rahunga
rahunga main jahan be-tabiyan karta rahunga
kabhi main aasmanon ko zamin par lad dunga
kabhi apni zamin ko aasman karta rahunga
mili hai zindagi mujh ko to kuchh karna hi hoga
yaqin karta rahunga ya guman karta rahunga
milega mulk-e-KHubi ya mata-e-sargirani
main apne nam ka sikka rawan karta rahunga
sunaunga kabhi qisse purane marakon ke
kabhi tasnif tazon dastan karta rahunga
karunga kuchh jatan un ko misali bhi banaun
agar aabaad taza bastiyan karta rahunga
main KHud sahil pe baiThunga kinar-e-afiyat mein
ijare par safinon ko rawan karta rahunga
hamein ab nind mein bhi jagte rahna paDega
ki us ne kah diya hai imtihan karta rahunga
agar likhwaoge KHat us ko tum mere qalam se
ye KHidmat muft mein ai mehrban karta rahunga
rahe wo gosh-bar-awaz ya so jae 'midhat'
ye mera qissa-e-gham hai bayan karta rahunga
Ghazal
Wahan karta rahunga ab yahan karta rahunga
Midhat-ul-Akhtar