wafaon ke irade wusat-e-manzil mein rahte hain
pas-o-pesh-e-sitam pesh-o-pas-e-mahmil mein rahte hain
nuqush-e-rah-raw-e-manzil rah-e-manzil mein rahte hain
chakoron ke nishan-e-gham mah-e-kaamil mein rahte hain
gham-e-ishq-e-haqiqi be-asar ho jae na-mumkin
numayan laghzish-o-rasha kaf-e-qatil mein rahte hain
jo arman lab pe aa ke mojib-e-qatl-e-ghariban hain
wahi arman poshida dil-e-qatil mein rahte hain
hazaron kashtiyan us par ho jati hain sahil ke
hamare waste tufan chhupe sahil mein rahte hain
hamesha zindagi kaTti rahi tarik raaton mein
na jaane jwar-bhaTe kyun hamare dil mein rahte hain
zamana ke hawadis se na Dar hargiz muqabil aa
jo ahl-e-dil hain duniya mein wahi mushkil mein rahte hain
mai-e-rangin surud-e-shoKH raqs-e-dil-ruba shab ko
sahar ko 'soz' furqat ke nishan mahfil mein rahte hain
Ghazal
Wafaon ke irade wusat-e-manzil mein rahte hain
Soz Barelvi