wafa ki tashhir karne wala fareb-gar hai sitam to ye hai
nigah-e-yaran mein phir bhi wo shaKHs mo'tabar hai sitam to ye hai
hum aise sada-dilon ko tujh se milegi dad-e-KHulus kaise
zamana-sazi ki KHu tere ahd mein hunar hai sitam to ye hai
agar tujhe ilm hi na hota to phir kabhi hum gila na karte
sukun kyun chhin gaya hamara tujhe KHabar hai sitam to ye hai
karishma-e-husn daman-e-dil ko khinchta hai qadam qadam par
sataish-e-KHal-o-KHad ki miad muKHtasar hai sitam to ye hai
khula hai bab-e-qafas to is par KHushi ka izhaar kar rahe ho
mili hai jis ko rihai mahrum-e-baal-o-par hai sitam to ye hai

Ghazal
Wafa ki tashhir karne wala fareb-gar hai sitam to ye hai
Gulzar Bukhari