اردو हिंदी
Wafa ki aaKHiri manzil bhi aa rahi hai qarib | Shaahi Shayari
wafa ki aaKHiri manzil bhi aa rahi hai qarib

Ghazal

Wafa ki aaKHiri manzil bhi aa rahi hai qarib

Sufi Tabassum

;

wafa ki aaKHiri manzil bhi aa rahi hai qarib
jo us jagah bhi na tu mil sake to mere nasib

fughan-e-Haqq-o-sadaqat ka marhala hai ajib
dabe to band-o-salasil uThe to dar-o-salib

tere KHayal ka maskan chaman chaman ka safar
meri wafa ka nasheman faqat dayar-e-habib

nazar se bach ke mile hain wo barha mujh ko
hazar bar hua hai ye dil nazar ka raqib

ulajh na jaen kahin aur dil ke afsane
kahan hadis-e-mohabbat kahan bayan-e-KHatib

na jaane kaun si shai chashm-e-ghamgusar mein thi
ki jis ko dekh ke larzan hua hai dast-e-tabib

abhi fasurda hai saqi tera 'tabassum'-e-lab
kisi ki yaad ko le aao mai-kade ke qarib