wafa KHulus ka singar rose karti hai
yun dhire dhire meri zindagi sanwarti hai
koi hayat zamane ko hai aziz bahut
koi hayat hai ki rose rose marti hai
tere charagh ka fanus KHud hawa hai aur
mere charagh se zalim hawa guzarti hai
to phir wajud-e-imarat nazar ka hai dhoka
jab inT inT hi tamir se mukarti hai
dua ye kijiye yaron ki hosh mein aaun
meri nigah mohabbat talash karti hai
na KHud ke rahta hai insan na dusron ke qarib
koi hasin shanasai jab bikharti hai
sitamgaron ko ibaadat-guzar mat jaano
KHuda ki bandagi 'azhar' KHuda se Darti hai
Ghazal
Wafa KHulus ka singar rose karti hai
Azhar Hashmi