wafa ke nam pe rakkhi hain tohmaten kya kya
bigaD di hain zamane ne suraten kya kya
hamin pe dosh hai un ki qaza namazon ka
janab-e-shaiKH ne DhunDin wazahaten kya kya
baDe KHulus se ek shahr-e-gul ujaD liya
hui hain ahl-e-nazar se himaqaten kya kya
fareb-e-sim-o-jawahar hue hain nam-o-numud
KHayal-e-yar se uljhi hain zulmaten kya kya
wo mehrban to na tha par KHulus bhi na raha
paDi hain ghair ki sohbat mein aadaten kya kya
zaban-e-qatil-o-maqtul par hai ek hi nam
KHuda ke nam pe guzrin qayamaten kya kya
baDha ke halqa-e-rindan ki ranjishen 'KHalid'
sitamgaron ne nikali hain hasraten kya kya
Ghazal
Wafa ke nam pe rakkhi hain tohmaten kya kya
Khalid Yusuf