اردو हिंदी
Wafa ke bab mein kar-e-suKHan tamam hua | Shaahi Shayari
wafa ke bab mein kar-e-suKHan tamam hua

Ghazal

Wafa ke bab mein kar-e-suKHan tamam hua

Islam Uzma

;

wafa ke bab mein kar-e-suKHan tamam hua
chalo ki rishta-e-ruh-o-badan tamam hua

kitab-e-hijr-e-musalsal khuli hamare liye
ki bab-e-wasl sar-e-anjuman tamam hua

ajib dhup sar-e-sehn-e-tan utar aai
mizaj tursh hua bankpan tamam hua

basaraton ko sameTo bujha lo aankhon ko
bayan-e-karbal-e-sarw-o-saman tamam hua

rafu-gari ka hunar sikh to liya 'azmi'
numud-e-fan mein magar pairahan tamam hua