wafa ka imtihan hai jaan-o-tan ki aazmaish hai
KHuda rakkhe KHudi ke bankpan ki aazmaish hai
ba-tarz-e-nau sajai ja rahi hai bazm-e-parwezi
ba-andaz-e-digar phir kohkan ki aazmaish hai
lab-e-ju saqiya yun hi musalsal daur-e-paimana
ki zor-e-gardish-e-charKH-e-kuhan ki aazmaish hai
KHizan ka zikr kya wo daur tha na-saz-gari ka
bahaar aai hai ab ahl-e-chaman ki aazmaish hai
meri diwangi ka imtihan ek baat hai warna
haqiqat mein tere dar-o-rasan ki aazmaish hai
tawaf-e-kirmak-e-nadan ka chakkar KHatm hai 'asif'
bas ab zarf-e-charagh-e-anjuman ki aazmaish hai

Ghazal
Wafa ka imtihan hai jaan-o-tan ki aazmaish hai
Sulaiman Aasif