washud ki dil ke aur koi rah hi nahin
juz ye ki aah kijiye so aah hi nahin
taklif-e-bazm-e-ahl-e-jahan ta-kuja ki dil
mutlaq mein wan ke rang se aagah hi nahin
aa ai 'asar' mulazim-e-sarkar-e-girya ho
yan juz guhar KHazane mein tanKHwah hi nahin
lazim the hum bukarat-e-duniya ko ai falak
tin di ye duKHt un ko jinhen bah hi nahin
'qaem' mata-e-dil ko abas kyun kare hai KHwar
is jins ki jahan mein koi chah hi nahin
Ghazal
Washud ki dil ke aur koi rah hi nahin
Qayem Chandpuri