war hua kuchh itna gahra pani ka
nikla chaTTanon se rasta pani ka
dekha KHun to aankhon se aansu nikle
joD gaya donon ko rishta pani ka
tiron ki bauchhaD bhi sahna hai mujh ko
mere hath mein hai mashkiza pani ka
uDti ret pe likhna hai tafsir use
jis ne samajh liya hai lahja pani ka
pighla sona aankhon mein bhar leta hun
rang jo ho jata hai sunahra pani ka
aankhon mein jitne aansu the KHushk hue
qaht hai ab ke dariya dariya pani ka
chalta hun be-ab zaminon par 'shahid'
aankhon mein phirta hai dariya pani ka
Ghazal
War hua kuchh itna gahra pani ka
Shahid Meer