war har ek mere zaKHm ka hamil aaya
apni talwar ke main KHud hi muqabil aaya
baadbanon ne har ek samt badal kar dekhi
koi manzar na nazar surat sahil aaya
gard hone ne hi mahmez kiya mera safar
mera rasta meri diwar mein hail aaya
is fusun ki koi tauzih nahin ho pati
is ke hathon main bhala kaise mera dil aaya
dard se joD liya saz ne rishta apna
aur phir soz pahan kar teri pael aaya
ek taKHrib tawatur se rahi dil mein mere
ek tasalsul sa mere haal mein shamil aaya
jis ka anjam hua us ki shuruat na thi
rah par aa na saka jo sar-e-manzil aaya
zinda rahne ke taqazon ne mujhe mar diya
sar pe 'jawed' ajab ahd-e-masail aaya
Ghazal
War har ek mere zaKHm ka hamil aaya
Nazar Javed