waqif nahin to us ke labon ko kanwal na likh
alfaz ko KHizab laga kar ghazal na likh
momin ke sath sirf KHuda hai sanam nahin
us bekasi ko uqda-e-mushkil ka hal na likh
lafzon mein kab simaTta hai wo sehr-e-be-karan
sheron ko husn-e-dost ka nemul-badal na likh
insan aap apni tabahi ko kam nahin
duniya ki is tabahi ko kar-e-ajal na likh
'sahba' ke sath sath na chal saya-e-zamir
ai mere ham-nashin meri fard-e-amal na likh

Ghazal
Waqif nahin to uske labon ko kanwal na likh
Sahba Akhtar