waqia koi na jannat mein hua mere baad
aasmanon pe akela hai KHuda mere baad
phir dikhata hai mujhe jannat-e-firdaus ke KHwab
kya farishton mein tera ji na laga mere baad
kuchh nahin hai teri duniya mein hayulon ke siwa
mujh se pahle bhi wahi tha jo hua mere baad
KHak-e-sahra-e-junun narm hai resham ki tarah
aabla hai na koi aabla-pa mere baad
mere anjam pe hansne ki tamanna na karo
kam hi badlegi gulistan ki hawa mere baad
KHatm afsana hua baat samajh mein aai
sari duniya ne mujhe jaan liya mere baad
yar hote to mujhe munh pe bura kah dete
bazm mein mera gila sab ne kiya mere baad
hun par-e-kah-e-shab-o-roz magar sochta hun
kis ke ghar jaega sailab-e-bala mere baad
is zamin mein wo koi aur ghazal bhi kahta
lekin afsos ki 'ghaalib' na hua mere baad
Ghazal
Waqia koi na jannat mein hua mere baad
Shahzad Ahmad