اردو हिंदी
Waiz ke main zarur Darane se Dar gaya | Shaahi Shayari
waiz ke main zarur Darane se Dar gaya

Ghazal

Waiz ke main zarur Darane se Dar gaya

Wazir Ali Saba Lakhnavi

;

waiz ke main zarur Darane se Dar gaya
jam-e-sharab lae bhi saqi kidhar gaya

bulbul kahan bahaar kahan baghban kahan
wo din guzar gae wo zamana guzar gaya

aisi hawa chali meri aahon ki raat ko
sab aasman pe KHirman-e-anjum bikhar gaya

achchha hua jo ho gae wahdat-parast hum
fitna gaya fasad gaya shor-o-shar gaya

kabe ki samt sajda kiya dil ko chhoD kar
tu kis taraf tha dhyan hamara kidhar gaya

phir sair-e-lala-zar ko hum ai 'saba' chale
aai bahaar dagh-e-junun phir ubhar gaya