waiz-e-shahr KHuda hai mujhe malum na tha
yahi bande ki KHata hai mujhe malum na tha
gham-e-dauran ka mudawa na hua par na hua
hath mein kis ke shifa hai mujhe malum na tha
naghma-e-nai bhi na ho bang-e-bat-e-mai bhi na ho
ye bhi jine ki ada hai mujhe malum na tha
main samajhta tha jise haikal o mehrab o kunisht
mera naqsh-e-kaf-e-pa hai mujhe malum na tha
apne hi saz ki aawaz par hairan tha main
zaKHma-e-saz naya hai mujhe malum na tha
jis ki ima pe kiya shaiKH ne bandon ko halak
wahi bandon ka KHuda hai mujhe malum na tha
KHutba targhib-e-halakat ka rawa hai ai dost
sher kahne ki saza hai mujhe malum na tha
shab-e-hijran ki daraazi se pareshan na tha
ye teri zulf-e-rasa hai mujhe malum na tha
wo mujhe mashwara-e-tark-e-wafa dete the
ye mohabbat ki ada hai mujhe malum na tha
chehra khole nazar aati thi urus-e-gul-nar
munh pe shabnam ki rida hai mujhe malum na tha
kufr o iman ki haden kis ne tayyun ki thin
is pe hangama bapa hai mujhe malum na tha
yahi mar-e-do-zaban mera lahu chaT gaya
rahnuma ek bala hai mujhe malum na tha
ajab andaz se tha koi ghazal-KHwan kal raat
'abid'-e-shoala-nawa hai mujhe malum na tha
Ghazal
Waiz-e-shahr KHuda hai mujhe malum na tha
Syed Aabid Ali Aabid