wae-taqdir kya ye alamiya nahin
sab hain apne magar koi apna nahin
dida-o-dil ki sunsan sahra hue
dil mein jazba to aankhon mein sapna nahin
ishq ko tark karne mein diqqat na thi
ishq ko mashghala hum ne samjha nahin
ab ke mujh se mila wo to aisa laga
wo hi chehra hai lekin wo chehra nahin
phunk raha hai badan kunj-e-tanhai mein
sar pe chhat hai magar man ka saya nahin
meri nazron mein duniya bhi uqba bhi hai
aadmi hun main 'athar' farishta nahin
Ghazal
Wae-taqdir kya ye alamiya nahin
athar shakeel

