uTThe jis bazm se tum gham ka saman chhoD aae
diye mahfil se uTha lae dhuan chhoD aae
ek TuTa hua be-kar safina hum hain
hamein ab sail-e-bala chahe jahan chhoD aae
aaj sar phuTega roegi na diwar teri
shahr se dur hamein ahl-e-jahan chhoD aae
hans ke ji-bhar ke zamane ki junun haar gaya
naseha KHush ho ki hum ku-e-butan chhoD aae
mere hathon ki lakiren thin wo rahen ai dost
mere hathon ko tere hath jahan chhoD aae
na chala baad hamare koi rah-e-gham mein
jise har-gam pe ek sang-e-giran chhoD aae
din bahaaron ke palaT aae 'musawwir' lekin
jaane us jaan-e-bahaaran ko kahan chhoD aae
Ghazal
UTThe jis bazm se tum gham ka saman chhoD aae
Musavvir Sabzwari