uTThe ghubar-e-shor-e-nafas to wahshat mat karna
dasht-darun se hijrat kaisi hijrat mat karna
dariya sabza phul sitare achchhi KHwahish hai
patthar kanTe dhup gard se nafrat mat karna
ek sach ki aawaz mein hain jine ke hazar aahang
lashkar ki kasrat pe na jaana baiat mat karna
neza-e-subh pe le kar chalna kal ka suraj
shab mein magar ailan-e-nawed-e-nusrat mat karna
main to sab kuchh dekh raha hun kya kya hai us par
main jo kahun shishe ka falak hai hairat mat karna
gend si hai be-wazn ye duniya meri Thokar mein
main jo kahun tum is ko uchchhaalo jurat mat karna
'ramz' samundar ki gahrai mera sar-e-angusht
main jo kahun utro pani mein ujlat mat karna
Ghazal
UTThe ghubar-e-shor-e-nafas to wahshat mat karna
Mohammad Ahmad Ramz