uTho rida-e-raunat ko tar tar karen
KHuda ke nam pe insaniyat se pyar karen
chalo chaman mein charaghan ba-sad waqar karen
baDho hayat ke daman ko lala-zar karen
nai fazaen nai nikhaten nai rahen
gul-e-murad se daman ko mushk-bar karen
bhaTak na jae ye insan aaj rahon mein
nishan-e-manzil-e-maqsud ustuwar karen
ufuq ke par jo mauj-e-shamim bikhri hai
usi se ghuncha-e-KHatir ko mushk-bar karen
falak pe aaj sitaron ko DhunDne wale
meri nazar ke sitaron ka kuchh shumar karen
'aziz' aaj gham-e-dil ki dastan kah kar
wo chahte hain zamane ko sogwar karen

Ghazal
UTho rida-e-raunat ko tar tar karen
Aziz Badayuni