اردو हिंदी
UThin aankhen agar aahaT suni hai | Shaahi Shayari
uThin aankhen agar aahaT suni hai

Ghazal

UThin aankhen agar aahaT suni hai

Shahzad Ahmad

;

uThin aankhen agar aahaT suni hai
sada taswir banna chahti hai

abhi guzra nahin ruKHsat ka lamha
wo saat aankh mein Thahri hui hai

abhi lauTa nahin din ka musafir
andhera ho chuka khiDki khuli hai

abhi sar par hai tanhai ka suraj
meri aankhon mein duniya jagti hai

agar guzra nahin wo is taraf se
ye hairat kis ne diwaron ko di hai

mere chehre ki raunaq ahd-e-mazi
ye surKHi kal ke aKHbaron se li hai

bahut sharminda hun iblis se main
KHata meri saza us ko mili hai

baha kar le gaya sailab sab kuchh
faqat aankhon ki virani bachi hai

kahan tak bojh uThaegi hamara
ye dharti bhi to buDhi ho chuki hai

na aaegi hawa ko nind kyun-kar
zamanon ki thaki-haari hui hai

bas ab bujhne ko hai suraj ki qindil
jahan tak jal saki jalti rahi hai

zabanen thak chukin patthar hue kan
kahani an-kahi thi an-kahi hai

makin 'shahzad' pyase mar rahe hain
dar-o-diwar par kai ugi hai