uThi thin aandhiyan jin ko bujhane
wo shamen aur bhaDken is bahane
naqaben bijliyon ki ruKH pe Dale
chaman walon ne lauTe aashiyane
ye kyun wahshat se lapka dast-e-gul-chin
kali shayad lagi thi kuchh batane
abhi mauhum hai sajde ka mafhum
jhuka phir kis liye sar kaun jaane
shuur-e-zindagi ki Dhaal le kar
chale hum maut se aankhen milane
Ghazal
UThi thin aandhiyan jinko bujhane
Parveen Fana Syed

