uTha KHud jis se jata bhi nahin hai
KHuda us ko uThata bhi nahin hai
nahin uThti hain be-shak us ki nazren
magar sar wo jhukata bhi nahin hai
karega dekh kar wo aaina kya
kabhi jo muskuraata bhi nahin hai
hui jis nam se nafrat wo us ko
kitabon se miTata bhi nahin hai
main us ka dard 'kalkal' kaise banTun
ki jo chhaale dikhata bhi nahin hai

Ghazal
UTha KHud jis se jata bhi nahin hai
Rajendra Kalkal