اردو हिंदी
UTh subh hui murgh-e-chaman naghma-e-sara dekh | Shaahi Shayari
uTh subh hui murgh-e-chaman naghma-e-sara dekh

Ghazal

UTh subh hui murgh-e-chaman naghma-e-sara dekh

Shefta Mustafa Khan

;

uTh subh hui murgh-e-chaman naghma-e-sara dekh
nur-e-sahar-o-husn-e-gul-o-lutf-e-hawa dekh

do-chaar farishton pe bala aaegi na-haq
ai ghairat-e-nahid na ho naghma-sara dekh

minnat se manate hain mujhe main nahin manta
auza-e-malak dekh aur atwar-e-gada dekh

gar bul-hawasi yun tujhe bawar nahin aati
ek martaba aghyar ke qabu mein tu aa dekh

itni na baDha paki-e-daman ki hikayat
daman ko zara dekh zara band-e-qaba dekh

ek dam ke na milne pe nahin milte hain mujh se
ai 'shefta' mayusi-e-ummid-e-faza dekh