utar ke dhup jab aaegi shab ke zine se
uDegi KHun ki KHushbu mere pasine se
main wo gharib ki hun chand be-sada alfaz
ada hui na koi baat bhi qarine se
guzishta raat bahut jhum ke ghaTa barsi
magar wo aag jo lipTi hui hai sine se
lahu ka chiKHta dariya dhyan mein rakhna
kisi ki pyas bujhi hai na os pine se
wo sanp jis ko bahut dur dafn kar aae
palaT na aae kahin waqt ke dafine se
dilon ko mauj-e-bala ras aa gai shayad
rahi na koi shikayat kisi safine se
wajud shola-e-sayyal ho gaya hai 'shamim'
uThi hai aanch ajab dil ke aabgine se
Ghazal
Utar ke dhup jab aaegi shab ke zine se
Syed Ahmed Shameem