usi yaqin usi dast-o-pa ki hajat hai
imam-e-waqt ko phir karbala ki hajat hai
kahin na tujh ko tera shauq be-libas kare
tere junun ko jo meri qaba ki hajat hai
kahan se aae ababil abrha ke liye
tere bashar ko to mal-o-ghina ki hajat hai
ajib tarz-e-takallum hai ahl-e-mansab ka
bahut dinon se kisi KHush-ada ki hajat hai
tamam harb-o-jadal aazma ke haar gae
uThao dast-e-dua ab dua ki hajat hai
Ghazal
Usi yaqin usi dast-o-pa ki hajat hai
Yusuf Taqi