usi ne sath diya zindagi ki rahon mein
wo ek charagh jo jalta raha nigahon mein
shamim-e-gul se subuk-tar kiran se nazuk-tar
koi latif si shai aa gai hai bahon mein
ye kis ki hashr-KHirami ki baat uTThi hai
hamara nam pukara gaya gawahon mein
KHabar na thi ki wahi apni yun KHabar lenge
shumar karte the hum jin ko KHair-KHwahon mein
abhi hain rakh mein chingariyan dabi lekin
maza kahan hai wo pahla sa ab ki chahun mein
hamin ne zist ke har rup ko sanwara hai
luTa ke raushani-e-taba jalwa-gahon mein
ragon mein jaise rawan hai lahu 'tamannai'
kisi ki mauj-e-karam hai mere gunahon mein
Ghazal
Usi ne sath diya zindagi ki rahon mein
Aziz Tamannai