usi ka jalwa-e-zeba hai chandni kya hai
ye chand kya hai ye suraj ki raushni kya hai
usi ke husn pe deta hai jaan parwana
nahin to sham ke shoalon mein dilkashi kya hai
kahan ka wasl kahan ka firaq kis ka gila
wajud ek hi Thahra to phir dui kya hai
kisi pe raaz-e-haqiqat khule tu KHak khule
jab aadmi nahin waqif ki aadmi kya hai
jabin-e-shauq hai aur un ka aastana hai
jo bandagi ye nahin hai to bandagi kya hai
zaban o dil ke talluq ka bhi lihaz rahe
'sarir' dil ko na chhu le wo shairi kya hai

Ghazal
Usi ka jalwa-e-zeba hai chandni kya hai
Sareer Kabiri