usi ek fard ke waste mere dil mein dard hai kis liye
meri zindagi ka mutaliba wahi ek fard hai kis liye
tu jo shahr mein hi muqim hai to musafirat ki faza hai kyun
tera karwan jo nahin gaya to hawa mein gard hai kis liye
na jamal-o-husn ki bazm hai na junun o ishq ka azm hai
sar-e-dasht raqs mein har ghaDi koi baadgard hai kis liye
tere husn se ye pata chala tujhe dekh kar ye KHabar hui
jahan rasta hi nahin koi wahan rah-naward hai kis liye
jo likha hai mere nasib mein kahin tu ne paDh to nahin liya
tera hath sard hai kis liye tera rang zard hai kis liye
wo jo tark-e-rabt ka ahd tha kahin TuTne to nahin laga
tere dil ke dard ko dekh kar mere dil mein dard hai kis liye
koi wasta jo nahin raha teri aankh mein ye nami hai kyun
mere gham ki aag ko dekh kar teri aah sard hai kis liye
Ghazal
Usi ek fard ke waste mere dil mein dard hai kis liye
Adeem Hashmi