use pane ki karte ho dua to
magar us se bhi kal ji bhar gaya to
yaqinan aaj hum ek sath hote
agar karte zara sa hausla to
chale ho rahnuma kar ilm ko tum
tumhein is ilm ne bhaTka diya to
samajh sakte ho kya anjam hoga
tumhaare war se wo bach gaya to
bahut masruf tha mahfil mein mana
nahin kuchh bolta par dekhta to
kisi ko chahti hai puchh lun kya
jawab is ka magar han mein mila to
main achchha hun tabhi apna rahi ho
koi mujh se bhi achchha mil gaya to
bahut nazdik mat aaya karo tum
kahin kuchh ho gai hum se KHata to
bahut se kaam kal karne hain mujh ko
magar ai zindagi kal na hua to
ghulami mein jakaD lega koi phir
watan aise hi gar luTta raha to
use phir kaun marega batao
gham-e-hijran ne bhi Thukra diya to
Ghazal
Use pane ki karte ho dua to
Siraj Faisal Khan