use chhua hi nahin jo meri kitab mein tha
wahi paDhaya gaya mujh ko jo nisab mein tha
wahi to din the ujalon ke phul chunne ke
unhin dinon main andheron ke intiKHab mein tha
bas itna yaad hai koi bagula uTTha tha
phir is ke baad main sahra-e-iztirab mein tha
meri uruj ki likkhi thi dastan jis mein
mere zawal ka qissa bhi us kitab mein tha
bala ka habs tha par nind TuTti hi na thi
na koi dar na daricha fasil-e-KHwab mein tha
bas ek bund ke girte hi ho gaya aazad
wo haft-rang ujala jo mujh hubab mein tha
Ghazal
Use chhua hi nahin jo meri kitab mein tha
Vikas Sharma Raaz