use bhulne ka sitam kar rahe hain
hum apni aziyyat ko kam kar rahe hain
hamari nigahon se sapne chura kar
wo kis ki nigahon mein zam kar rahe hain
hayat-e-rawan ki har ek na-rawai
hum apne lahu se raqam kar rahe hain
bhali kyun lage hum ko KHushiyon ki dastak
abhi hum mohabbat ka gham kar rahe hain
kise dukh sunaen sabhi to yahan par
shumar apne apne alam kar rahe hain
suKHan ko siyasat ka zina dikha kar
tamasha ye ahl-e-qalam kar rahe hain
Ghazal
Use bhulne ka sitam kar rahe hain
Fariha Naqvi