us zulf ke saude ka KHalal jae to achchha
us pech se dil apna nikal jae to achchha
shatranj mein ji un ka bahal jae to achchha
ai 'mehr' ye chaal achchhi hai chal jae to achchha
is zist se ab maut badal jae to achchha
bechain hai dil jaan nikal jae to achchha
mahrum hun is daur mein saqi faqat ek main
ai kash KHum-e-baada ubal jae to achchha
KHam Thonk ke karta hai ye ab beach bula ke
is tarah ke tarrar ka bal jae to achchha
is ishq mein phir jaan ke paD jaenge lale
ab bhi dil-e-betab sambhal jae to achchha
chhu jae jo bande ki siwa jism se tere
allah kare hath wo gul jae to achchha
kya ishq sa hai ishq mohabbat si mohabbat
badlunga main is dil ko badal jae to achchha
mumkin hi nahin hai ki bache jaan salamat
us kuche mein mushtaq-e-ajal jae to achchha
boson mein maza qand-e-mukarrar ka ho saqi
ek daur dobara ka bhi Dhal jae to achchha
ab zauq ki manind gham-e-ishq jigar mein
kanTa sa khaTakta hai nikal jae to achchha
rangini-e-fikr aur meri raushni-e-tama
kuchh lal-o-gohar aur ugal jae to achchha
ahbab-e-banaras ke liye 'mehr' ka tohfa
ek aur bhi sath us ke ghazal jae to achchha
Ghazal
Us zulf ke saude ka KHalal jae to achchha
Hatim Ali Mehr