us taraf wo jo nazar paDta hai
raste mein mera ghar paDta hai
iKHtiyaraat se majbur hai wo
chaaron jaanib se asar paDta hai
aap to mashq kiya karte hain
aur har tir idhar paDta hai
sar jhukane ki jab aadat na rahi
aaj har gam pe dar paDta hai
rahnuma aaD na kar le to hamein
rahzan saf nazar paDta hai
kyun na kanTon pe lahu Tapkaen
phul chhute hi bikhar paDta hai
mohtaram zaKHm luTate chaliye
rah mein dil ka nagar paDta hai
Ghazal
Us taraf wo jo nazar paDta hai
Muzaffar Hanfi