us shajar par kuchh dinon tak aashiyan mera bhi tha
chaar rangon ka sahi lekin makan mera bhi tha
haq tumhaari tarah har shai par yahan mera bhi tha
ye zamin meri bhi thi ye aasman mera bhi tha
dekh lo meri jabin par bhi hain sajdon ke nishan
zindagi ke waste ek aastan mera bhi tha
is liye honTon ko mere pyas chhu pati nahin
duKHtar-e-raz bhi meri pir-e-mughan mera bhi tha
jaane kyun dozaKH se bad-tar ho gae haalat aaj
rashk-e-jannat kal talak hindostan mera bhi tha
aazmaya zarf ko mere bhi duniya ne 'nawab'
zist ke har moD par ek imtihan mera bhi tha
Ghazal
Us shajar par kuchh dinon tak aashiyan mera bhi tha
Nawab Shahabadi